Friday 27 January 2012

$$ Anjaam-e-Mohabbat $$

$$Anjaam-e-Mohabbat$$

Tera firaak mukaddar banke rah gaya….
Mai mufliso ka sikandar banke rah gaya….

Hansta khelta hua tera aashiq achanak….
Dard ka samundar banke rah gaya….

Tere saath guzra har haseen lamha….
Mehakta hua zarar banke rah gaya….

Kabhi aabad tha jo teri shirkat se sanam….
Wo tera mureed be-zar banke rah gaya….

Tujhe kaise yakeen dilaau tere bina….
Ye keemati dil abtar banke rah gaya….

Wo to zabar ho gaye meri gazalo se raj….
Mai ek Gumnam khabar banke rah gaya….

No comments:

Post a Comment